donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Faraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hui hai shaam to aaNkho'n me'n bas giyaa phir tu, *
Hui hai shaam to aaNkho'n me'n bas giyaa phir tu, 
KahaaN giyaa hai mere shahar ke musaafir tu, 
Bahut udaas hai ik shaKhs tere jaane se,
Jo ho sake to chalaa aa usi ki Khaatir tu,
Meri misaal ki ik naKhl-e-Khushk-e-saharaa huN,
Teraa Khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taair tu,
Mai'n jaantaa huN ke duniyaa tujhe badal degi, 
Mai'n maantaa huN ke aisaa nahi'n bazaahir tu, 
Hansi Khushi se bichharh jaa agar bichharhnaa hai, 
Ye har maqaam pe kyaa sochtaa hai aaKhir tu, 
`Faraz` tu ne use mushkilo'n me'n Daal diyaa, 
Zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tu. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 453