donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Faraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Havaa ke zor se pindaar-e-baam-o-daar bhi giyaa, *
Havaa ke zor se pindaar-e-baam-o-daar bhi giyaa, 
Chiraag ko jo bachaate the un kaa ghar bhi giyaa ,
Pukaarte rahe mahfuuz kishtiyo'n vaale, 
Mai'n Duubataa huaa dariyaa ke paar utar bhi giyaa, 
Ab ehatiyaat ki divaar kiya uthate ho, 
Jo chor dil me'n chhupaa thaa vo kaam kar bhi giyaa, 
Mai'n chup rahaa ki is me'n thi aafiyat jaan ki, 
Koi to meri tarah thaa jo daar par bhi geyaa, 
Sulagte sochte viraan mausamo'n ki tarah, 
Karhaa thaa ahad-e-javaani magar guzar bhi geyaa, 
Jise bhulaa na sakaa us ko yaad kiya rakhtaa, 
Jo naam dil me'n rahaa zehan se utar bhi geyaa ,
PhaTi-phaTi hui aankhon se yuun na dekh mujhe ,
Tujhe talaash hai jis ki vo shaKhs mar bhi geyaa, 
Magar falak ki adaavat usi ke ghar se na thi, 
Jahaa'n `Faraz` na thaa sail-e-Gham udhar bhi geyaa. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 404