donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Faraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Har tamaashaai faqat saahil se manzar dekhta, *
Har tamaashaai faqat saahil se manzar dekhta,
Kaun dariyaa ko ulaTataa kaun gauhar dekhta,
Vo to duniyaa ko meri divaangi Khush aa gai, 
Tere haatho'n me'n vagarnaa pahlaa patthar dekhta, 
Aankh me'n aansuu jarhe the par sadaa tujh ko na di, 
Is tavaqqo par ki shaayad tuu palaT kar dekhta, 
Meri qismat ki lakire'n mere haatho'n me'n na thi'n, 
Tere maathe par koi meraa muqaddar dekhtaa, 
Zindagi phaili hui thi shaam-e-hijraa'n ki tarah, 
Kis ko itnaa hausalaa thaa kaun ji kar dekhta, 
Duubane vaala thaa aur saahil pe chehro'n kaa hujuum ,
Pal ki mohalat thi mai'n kis ko aaNkh bhar ke dekhta 
Tuu bhi dil ko ik lahuu ki buuNd samjhaa hai `Faraz`. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 446