donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Faraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ranjish hi sahi, dil hi dukhaanay k liyay aa *
Ranjish hi sahi, dil hi dukhaanay k liyay aa
Aa phir se mujhay chhoa.D k jaaney k liyay aa

Pahlay se maraasim na sahi phir bhi kabhi to
Rasm-o-rah-e-dunya ko nibhaaney k liyay aa

Kis kis ko bataayaiN ge judaayi ka sabab ham
Tu mujh se Khafa hai to zamaaney k liyay aa

Kuchh to meray pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
Tu bhi to kabhi mujh ko manaaney k liyay aa

Ek umr se hooN lazzat-e-giryaaN se bhi mahroom
Ai raahat-e-jaaN mujh ko rulaaney k liyay aa

Ab tak dil-e-Khush fahm ko haiN tujh se umeedaiN
Yeh aaKhri sham'eiN bhi bujhaaney ki liyay aa
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 410