donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Faraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sakuut-e-shaam-e-Khizaa’n hai qariib aa jaao *
Sakuut-e-shaam-e-Khizaa’n hai qariib aa jaao
Badaa udaas samaa’n hai qariib aa jaao

Na tum ko khud pe bharosaa na ham ko zom-e-vafaa
na aitabaar-e-jahaan hai qariib aa jaao

Raah-e-talab me’n kisii ko dhyaan nahiin
Hujoom-e-hamsafaraan hai qariib aa jaao

Jo dasht-e-ishq me bichhaden vo umr bhar na mile
Yahaan yahaan dhuaa hii dhuaa’n hai qariib aa jaao

Ye aandhiyaan hain to shahar-e-vafaa kii Khair nahii’n
Zamaanaa Khaak fashaa’n hai qariib aa jaao

Faaqih-e-shahar kii majalis nahiin ke duur raho
Ye bazm-e-piir-e-maghaanhai qariib aa jaao

'Faraz' dr ke suraj Gharoob samajhe gaye
Ye daur-e-kamna zaaraa hai qarib aa jaao
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 411