* Dukh fasana nahi ke tujh se kaheN *
Dukh fasana nahi ke tujh se kaheN
Dil Bhi Mana nahi k tujh se kaheN
Aaj tak apni bekali ka sabab
Khud bhi jana nahi k tujh se kaheN
Be tarah haal E dil hai aur tujh se
Dostana nahi k tujh se kaheN
Ek To harf E aashna tha magar
Ab zamana nahi k tujh se kaheN
Qasid hum faqeer logoN ka
Ab thikana nahi k tujh se kaheN
Ya khuda dar E dil hai bakhshish dost
Aab O dana nahi k tujh se kaheN
Ab to apna is gali men ” Faraz “
Aana jana nahi k tujh se kaheN
*** |