donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Faraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Nazar bujhi to karishmay bhi roz O shab ke gaye *
Nazar bujhi to karishmay bhi roz O shab ke gaye
K ab  talak nahi aaye haiN log  jabb ke gaye

Sunegaa koun teri bewafaaiyoN ke  gilay
Yahi hai rasm-E-zamana to ham bhi ab ke gaye

Magar kissi ne hamaiN ham safar nahi jaanaa
Yeh aur baat K ham saath saath sab ke gaye

Ab aaye ho to yahaaN kya hai dekhnay ke liye
Ye shahr kab se hai weeraN wo log kab ke gaye

Giraftaa dil thay,  magar houslaa na haaraa tha
Giraftaa dil haiN magar housslay bhi ab ke gaye

Tum apni shamm’a tamanna ko ro rahe ho ‘Faraz’
In aaNdhiyoN meN to pyare charaGh sab ke gaye
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 459