donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Faraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ghaniim se bhi adaawat meN had nahi maaNgi *
Ghaniim se bhi adaawat meN had nahi maaNgi
K haar maan li,  lekin,  madad nahi maaNgi
Hazaar shukr K hum ahl E harf E zindaa ne
Mujaaweraan E aab se sanad nahi maaNgi
Bahut hai lamha E maujood ka sharaf bhi mujhe
So apne fan se baQaay E abad nahi maaNgi
Qubool woh jise karta woh iltejaa nahi ki
Du’aa jo woh na kare mustarad nahi maaNgi
MaiN apne jamaa E sad chaak se bahut khush huN
Kabhi abaa O Qabaa E khirad nahi maaNgi
Shaheed jism salamat uThaye jaate haiN
Jabhi to gor kanoN se lahad nahi maaNgi
MaiN sar barahna phir bhi sar kashiida raha
Kabhi kulaah se tauQeer E Qad nahi maaNgi
Ataa E dard meN woh bhi nahi tha dil ka Gharib
‘Faraz’ maiN ne bhi bakhshish meN had nahi maaNgi
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 480