donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Faraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kasheeda sar se tawaqqo’ abas jhukaao ki thi *
Kasheeda sar se tawaqqo’ abas jhukaao ki thi
BigaR gayaa huN  K surat yahi banaao ki thi
Woh jis ghamand se bichhRa gila to is ka hai
K saari baat muhabbat me rakh rakhaao ki thi
Woh mujh se pyar na karta to waar kya karta
K dushmani meN bhi shiddat usi lagaao ki thi
Magar yeh dard E talab bhi saraab hi niklaa
Wafaa ki lahr bhi jazbaat ke bahaao ki thi
Akele paar utar ke yeh nakhuda ne kaha
Musaafiro yahi Qismat shikastaa naao ki thi
ChiraGh E jaN ko kahaN tak bacha ke hum rakhte
Hawaa bhi tez thi, manzil bhi chal chalaao ki thi

MaiN zindagi se naburd aazma raha huN ‘Faraz’
MaiN jaantaa tha, yahi raah ek bachaao ki thi
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 460