donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Faraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Usne sukuut-e-shab mei’n bhii apnaa payaam rakh diyaa, *
Usne sukuut-e-shab mei’n bhii apnaa payaam rakh diyaa,
hijr kii raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa,
(sukuut-e-shab : silence of night; baam : terrace)
aamad-e-dost kii naviid kuu-e-vafaa mei’n aam thii,
mai’n ne bhii ik chiraaGh saa dil sar-e-shaam rakh diyaa,
(aamad-e-dost : arrival of friend; naviid : good news)
shiddat-e-tishnagii mei’n bhii Ghairat-e-maikashii rahii,
us ne jo pher lii nazar mai’n ne bhii jaam rakh diyaa,
(shiddat-e-tishnagii : intensity of thirst; Ghairat : pride; maikashii : drinking)
dekho ye mere Khvaab the dekho ye mere zaKhm hai’n,
mai’n ne to sab hisaab-e-jaa’n barsar-e-aam rakh diyaa,

us ne nazar nazar mei’n hii aise bhale suKhan kahe,
mai’n ne to us ke paa’nv mei’n saaraa kalaam rakh diyaa,
aur “Faraz” chaahiiye kitanii muhabbate’n tujhe,
ke maao’n ne tere naam par bachcho’n ka naam rakh diyaa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 411