donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Akhtar Muslimi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* na samajh sakī jo duniyā ye zabān-e-be-zabānī *

na samajh sakī jo duniyā ye zabān-e-be-zabānī 
tirā chehra ḳhud kahegā mire qatl kī kahānī 
ye azāb-e-āsmānī ye itāb-e-nā-gahānī 
haiñ kahāñ samajhne vaale mire āñsuoñ ko paanī 
kahīñ luT rahā hai ḳhirman kahīñ jal rahā hai gulshan 
use kis ne sauñp dī hai ye chaman kī pāsbānī 
mirī tujh se kyā hai nisbat mirā tujh se vāsta kyā 
tū harīs-e-lāla-o-gul maiñ fidā-e-bāġhbānī 
tujhe naaz husn par hai mujhe naaz ishq par hai 
tirā husn chand-roza mirā ishq jāvedānī 
ye vo dil-rubā hai duniyā mire dosto ki jis kī 
na koī adā na.ī hai na koī adā purānī 
koī us se kah de 'aḳhtar' zarā hosh meñ vo aa.e 
na rahegā zindagī bhar ye surūr-e-shādmānī 

۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸

 

 
Comments


Login

  • Farooq
    09-01-2018 06:00:07
    wah wah kia baat hy
    LAJAWAB
You are Visitor Number : 648