donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Akhtar Usman
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* jo wehm hay, dar hay, pas-e-parda nahiN nikla *
jo wehm hay, dar hay, pas-e-parda nahiN nikla,
basti sy abhi tak wo bagoola nahiN nikla...

us qariya-e-Zahraa k liay ghoomi zameeN bhi,
is gaind k naqshy meiN wo khitta nahiN nikla...

hinda ki terha jism udheRa tha hawa ne,
laikin mery seeney say kalaija nahiN nikla...

kuch ham tery mey'aar pe puray nahiN utrey,
kuch tu bhi keh mash'hoor tha jaisa, nahiN nikla...

go shehr meiN pemaish-e-qad aam hay laikin,
ik shakhs bhi ham-qamat-e-sayaa nahiN nikla...

poshaak-e-rafu'kaar k kya kehny k Akhtar,
ik taar gareeban meiN apna nahiN nikla...
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 622