donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aleena
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Suno mere sajna *
Suno mere sajna: 
Jo kal mein tumhe kahin idhar udhar dikhayi na don nazr na aon 
Tujhe Teri hi kasam zara sa bhi koi tum ghum na karna, 

Suno mere sajna: 
Agar anderon mein main kahin door bouhat door kho jaon 
Tujhe pyar ki kasam palkein apni bilqul bhi nam na karna, 

Suno mere sajna: 
Meri jo yaad sataye our main mil kar bhi us gharhi mil na paon 
Tujhe Dosti ki kasam mann ko apne chaak e zakhm na karna, 

Suno mere sajna: 
Dil jo tera tadpe our mere liye our main behla na paoon 
Tujhe Dil ki kasam dil ke kisi kone mein koi weham na karna, 

Suno mere sajna: 
Jo Zindagi se ghabra jao or main gale se laga na paon, 
Tujhe Zindagi ki kasam housla meri jaan kam na karna, 

Suno mere sajna: 
Duniya jo chalne lage apni chaal our main bacha na paon 
Tujhe Duniya hi ki kasam pamaal ulfat ka bhrm na karna, 

Suno mere sajna: 
Yeh meri dadhkn teri amant hai ise jo dadhka na paon 
Tujhe Dadhkn ki kasam chota umeed ka damn na karna, 

Suno mere sajna: 
Tu pukare mujhko ho kar beqraar our main sun hi na paon 
Tujhe apni chaht ki kasam hoke mayoos awaz madhm na karna, 

Suno mere sajna: 
Mere sare sapne hai tere naam magr jo main inhe bun na paon 
Tujhe khwabon ki kasam mere raste se Rasta apna gum na karna, 

Suno mere sajna: 
Raza e Elahi jo main gehri neend so jaon or jaag na paon 
Tujhe MERI kasam ehsaas e jeewan apne liye kam na karna
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 336