donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ambarin Salahuddin
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* asir-e-KHwab nai justuju ke dar khole.n *

asir-e-KHwab nai justuju ke dar khole.n
hawa pe hath rakhe.n aur apne par khole.n
sameTe apne sarabo.n mei.n barisho.n ka jamal
kahan ka qasd hai ye raaz KHush-nazar kholen
use bhulane ki phir se karen nai sazish
chalo ki aaj koi nama-e-digar kholen
ulajhti jati hain girhen adhure lafzon ki
hum apni baaton ke sare agar magar kholen
jo KHwab dekhna tabir khojna ho kabhi
to pahle raat ke lipTe hue bhanwar kholen
ek inT samne diwar se nikalen ab
chalo ki phir se naya koi dard-e-sar kholen

ٌٌٌٌٌٌٌٌٌٌٌٌٌٌٌٌٌٌٌٌ۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 498