donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ambarin Salahuddin
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* bahut be-zar hoti ja rahi hun *

bahut be-zar hoti ja rahi hun
main KHud par bar hoti ja rahi hun
tumhein iqrar ke raste pe la kar
main KHud inkar hoti ja rahi hun
kahin main hun sarapa rahguzar aur
kahen diwar hoti ja rahi hun
bahut muddat se apni khoj mein thi
so ab izhaar hoti ja rahi hun
bhanwar dil ki tahon mein ban rahe hain
main be-patwar hoti ja rahi hun
tumhaari guftugu ke darmiyan ab
yunhi takrar hoti ja rahi hun
ye koi KHwab karwaT le raha hai
ki main be-dar hoti ja rahi hun
kisi lahje ki narmi khul rahi hai
bahut sarshaar hoti ja rahi hun
mera tesha zamin mein gaD gaya hai
junun ki haar hoti ja rahi hun


۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 141