donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Amjad Islam Amjad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Bhiirh me.n ik ajnabii kaa saamnaa achchhaa lagaa, *
Bhiirh me.n ik ajnabii kaa saamnaa achchhaa lagaa,
sab se chup kar vo kisii kaa dekhnaa achchhaa lagaa,  

surma_ii aa.Nkho.n ke niiche phuul se khilne lage,
kahte kahte kuchh kisii kaa sochnaa achchhaa lagaa ,

baat to kuchh bhii nahii.n thii lekin us kaa ek dam,
haath ko ho.nTho.n pe rakh kar roknaa achchhaa lagaa 

chaay me.n chiinii milaanaa us gha.Dii bhaayaa bahut,
zer-e lab vo muskuraataa shukriyaa achchhaa lagaa 

dil me.n kitne ahad baa.Ndhe the bhulaane ke use,
vo milaa to sab iraade to.Danaa achchhaa lagaa ,

beiraadaa lams kii vo san_sanii pyaarii lagii,
kam tavajjo aa.Nkh kaa vo dekhanaa achchhaa lagaa 

niim shab kii Khaamushii me.n bhiigatii sa.Dako.n pe kal,
terii yaado.n ke jaalo me.n ghuumanaa achchhaa lagaa ,

us uduu-e-jaa.N ko ’Amjad’ mai.n buraa kaise kahuu.N,
jab bhii aayaa saamane vo bevafaa achchhaa lagaa .
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 335