donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Amjad Islam Amjad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Koii adaa_shanaas-e-muhabbat hame.n bataaye, *
Koii adaa_shanaas-e-muhabbat hame.n bataaye,
jo ham ko bhuul jaaye vo kyo.n ham ko yaad aaye,

kis kii majaal thii ki hijaab-e-nazar uThaaye,
vo muskuraa ke aap hii dil ke qariib aaye,

ik dil_nashii.n nigaah me.n allaah ye Khalish,
nashtar kii nok jaise kaleje me.n TuuT jaaye,

kuchh ham se beKhudii me.n hu_ii behijaabiyaa.N,
chashm_kaznii sitaaro.n ne kii phuul muskuraaye,

vo jaan-e-aarazuu ke hai saramaayaa-e-nishaat,
kyo.n us kii yaad Gham kii ghaTaa ban ke dil pe chhaaye,

tum to hamii.n ko kahate the ye tum ko kyaa huaa,
dekho ka.Nval ke phuul se shabanam chhalak na jaaye,

ik naatamaam Khvaab mukammal na ho sakaa,
aane ko zindagii me.n bahut inqalaab aaye.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 346