donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Amjad Islam Amjad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mohabbat kii tabiyat me.n, *
Mohabbat kii tabiyat me.n,
ye kaisaa bachpanaa qudarat ne rakkhaa hai,

ke jitnii puraanii jitnii bhii mazbuut ho jaaye,
ise taa_iid-e-taazaa kii zaruurat phir bhii rahtii hai,
yaqii.n kii aaKhirii had tak dilo.n me.n lah_lahaatii ho,
nigaaho.n se Tapakatii ho lahuu me.n jag_magaatii ho,
hazaaro.n tarah se dil_kash hasii.n haale banaatii ho,
use izhaar ke lafzo.n kii haajat phir bhii rahtii hai,

mohabbat maa.Ngatii hai yuu.N gavaahii apne hone kii,
ke jaise tifl-e-saadaa shaam ko ik biij boye,
aur shab me.n bauraa uThe,
zamii.n ko khod kar dekhe,
ke paudhaa ab kahaa.N tak hai,

mohabbat kii tabiyat me.n ajab takaraar kii Khuu hai,
ke ye iqraar ke lafzo.n ko sunane se nahii.n thakatii,
bichha.Dane kii gha.Dii ho yaa ko_ii milane kii sa’at ho,
ise bas ek hii dhun hai,
kaho mujh se mohabbat hai,
kaho mujh se mohabbat hai,

kuchh aisii be sakuunii hai vafaa kii sar_zamiino.n me.n,
ke jo ahal-e-mohabbat ko sadaa bechain rakhatii hai,
ke jaise phuul me.n Khsuhbuu ke jaise haath me.n taaraa,
ke jaise shaam kaa taaraa,
mohabbat karane vaalo.n kii sahar raato.n me.n rahtii hai,
gumanaam ke shaaKhcho.n me.n aashiyaa.N bantaa hai ulfat kaa,
ye ain visaal me.n bhii hijr ke Khadsho.n me.n rahtii hai,

mohabbat ke musaafir zindagii jab kaaT chukte hai.n,
thakan kii karchiyaa.N chunte vafaa kii ajrake.n pahne,
samay kii rah_guzar kii aaKhirii sarhad pe rukte hai.n,
to ko_ii Duubatii saa.Nso.n kii Dorii thaam ker,
dhiire se kahtaa hai,
ke ye sach hai naa,
hamaarii zindagii ik duusre ke naam likhii thii,
dhundhalakaa saa jo aa.Nkho.n ke qariib-o-duur phailaa hai,
isii kaa naam chaahat hai
tumhe.n mujh se mohabbat thii
tumhe.n mujh se mohabbat hai,

mohabbat kii tabiyat me.n,
ye kaisaa bachpanaa qudarat ne rakkhaa hai.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 464