donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Amjad Islam Amjad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kuchh aise ghaao bhii hote hai.n, *
Kuchh aise ghaao bhii hote hai.n,
jinhe.n zaKhmii aap nahii.n dhote,
bin roye huye aa.Nsuo.n kii tarah,
siine me.n chhupaa ke rakhate hai.n,
aur saarii umr nahii.n rote,

[ghaao = wound]

niinde.n bhii muhaiyaa hotii hai.n,
sapane bhii duur nahii.n hote,
kyuu.N phir bhii jaagate rahate hai.n,
kyuu.N saarii raat nahii.n sote,

[muhaiyaa = available]

ab kis se kahe.n ai jaan-e-vafaa,
ye ahal-e-vafaa kis aag me.n jalate rahate hai.n,
kyuu.N bujh ke raakh nahii.n hote.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 325