|
* Kisii kii aa.Nkh jo pur_nam nahii.n hai, *
Kisii kii aa.Nkh jo pur_nam nahii.n hai,
na samajho ye ke us ko Gham nahii.n hai ,
savaad-e-dard me.n tanhaa kha.Daa huu.N,
palaT jaa_uu.N magar mausam nahii.n hai
samajh me.n kuchh nahii.n aataa kisii ke
agarche guftaguu mubaham nahii.n hai ,
sulagataa kyuu.N nahii.n taariik jangal,
talab kii lau agar maddham nahii.n hai ,
ye bastii hai sitam paravar digaan kii,
yahaa.N ko_ii kisii se kam nahii.n hai ,
kinaaraa duusaraa dariyaa kaa jaise,
vo saathii hai magar maharam nahii.n hai ,
dilo.n kii raushanii bujhane na denaa,
vajuud-e-tiiragii mahakam nahii.n hai ,
mai.n tum ko chaah kar pachhataa rahaa huu.N,
ko_ii is zaKhm kaa maraham nahii.n hai ,
jo ko_ii sun sake ’Amjad’ to sunaa denaa,
ba-juz ek baaz gasht-e-Gham nahii.n hai .
|
|