* hazaron dard ke toofan se hanskar guzar jate *
hazaron dard ke toofan se hanskar guzar jate
jo tum bhi hausla dete to ham kya kuchh na kar jate
azaem ko hamare roz ye toofan parakhta hai
nahin ham jante ladna to jane kabke mar jate
jalate ilm ki shammein ho ham barwaqt bachhon mein
kamandein dalte wo bhi sitaron pe utar jate
pata kya poochhna tha shahr mein mere nasheman ka
jahan pe zor se bijli chamakti thi thahar jate
kabhi fursat to de ai zindagi itne masael se
zara si der ki khatir sahi ham bhi to ghar jate
wo bewa sach bayan kar deti jo apni jawani ka
bhari mahfil mein jane kitne hi chehre utar jate
chhupae phirte hain ham aise bhi kuchh daagh seene mein
jo the hassas itne ke dikhane mein ubhar jate
na tha manzoor 'shaheen' ko balandi se utar aana
magar wo pyar se kahte to qadmon mein bikhar jate
******************** |