donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ashraf Ali Khan Fughan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* haif dil me tire vafā na huī *

haif dil meñ tire vafā na huī 
kyuuñ tirī chashm meñ hayā na huī 
yaar ne nāma-bar se ḳhat na liyā 
merī ḳhātir aziiz kyā na huī 
rah gayā duur tere kūche se 
ḳhaak bhī merī pesh pā na huī 
kaT ga.ī umr merī ġhaflat meñ 
kuchh tirī bandagī adā na huī 
dūd-e-dil terī zulf tak pahuñche 
aah yaañ tak mirī rasā na huī 
chashm-e-ḳhūñ-ḳhvār se 'fuġhāñ' dekhā 
dil-e-bīmār ko shifā na huī 

۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 71