donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Asifa Nishat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Wakalat *

Wakalat

Hum apne faislon mein qadre soai zun se kam lete hain
Kabhi ajlat kabhi taqleed mein
Apni samaat aur basarat per bharosa ker pate
(koi charah hai uska bhi)
Mager hum sab, yeh bus yonhi kerte hain
Ager che eik naqad, eik naseh
Jo kahin maujood hota hai
Mager hum unsuni ker ke
Yon hi bus sooye zun se kam laite hain
Zara sochein
Hum apne istearon mein khizan ko zerd
mausam aur judaye ka numaindah samajhte hain
Mager yeh bhool jate hain
Kih pahle zerd patte shakh se gir ker
Talash-e-zindagi mein,toot ker
Hijrat, muhajir khail ker
Wapas vahin to laut aatein hain
To kaya yeh such nahin kyy
Khizan bhi zindagi hai
Mager phir bhi
Hum apne faislon mein soyye zun se kam laite hain

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 417