donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Asifa Nishat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* daryaft kar liya hai basaya nahin mujhe *

daryaft kar liya hai basaya nahin mujhe
saman rakh diya hai sajaya nahin mujhe
kaisa ajib shaKHs hai uTh kar chala gaya
barbaad ho gaya to bataya nahin mujhe
wo mere KHwab le ke sirhane khaDa raha
main so rahi thi us ne jagaya nahin mujhe
bazi to us ke hath thi phir bhi na jaane kyun
mohra samajh ke us ne baDhaya nahin mujhe
us ne hazar ahd-e-mohabbat ke bawajud
jo raaz puchhti hun bataya nahin mujhe
wo intiha-e-shauq thi ya intiha-e-zabt
tanhai mein bhi hath lagaya nahin mujhe


ٌٌ۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 463