donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Asrar Ahmad Razi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Masawa uske koi khwaab nahi *
Masawa uske koi khwaab nahi,
Uski yado'n ka saddebab nahi,
Meri manzil hai munkashaf mujh per,
Justajoo me'n meri,saraab nahi,
Zakhm ginte hai'n mere hamrahi,
Mere zakhmo'n ka to hisab nahi,
Khamashi bar banaye hikmat hai,
Jahilo'n ka,koi jawab nahi,
Paak ummul kitab hai Quraa'n,
Is se barh kar koi kitab nahi,
Woh gholami se bach nahi sakta,
Jis ke har pal ka ihtesab nahi,
Sanfe nazuk to misle sheesha hai,
Bad nazar ki,zara bhi taab nahi,
Ba wazu, sher sare likhta hoo'n,
In me'n jaam o subo, sharab nahi,
Ishq ka kya nesab hai "Raazi"?
Chashme majnu'n me'n"Aab o Taab" nahi.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 505