donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Azeez Belgaumi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hukm-e-takhleeq-e-sukhan hai, kya kahuN? Kaise likhuN? *

Hukm-e-takhleeq-e-sukhan hai, kya kahuN? Kaise likhuN?
Jam gaya nok-e-qalam par qaumi ekjahti ka khooN,

Mil gaya sayyad ko phir baghbaani ka sharaf,
Naghma-e-bulbul se ghayab naghmagi hi ka fusooN,

Jeete jee kya zindagi zinda jalaa dee jayegi,
kyouN dhuweN ke baadalouN ka shahr par raqs-e-junooN,

kyouN ahinsa ki saDak par dhool hinsa ki uDe ,
Laasha-e-ekjahti-e-aqwaam kyouN hai khak - o – khooN,

Aadami ki jaaN yaqeenan mustahiq ikraam ki,
Zinda rahna doosarouN ki maut ki qeemat pe kyouN,

Gul mohabbat ke, mohabbat se nichchawar hoN AZEEZ,
taake bhar jaaye gulouN se jaada-e-amn-o-sukunN

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 445