donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Azeez Belgaumi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* AansuwauN par hi faqat Gham ka ijara to nahiN, *

Meri barbaadi meiN shaamil meri darbadari bhi,
Is meiN kirdaar-e-qiyaadat ki hai beqarary bhi,

AansuwauN par hi faqat Gham ka ijara to nahiN,
kyounke palkouN ko bhigo deti hai khushkhabari bhi,

Bhul jaane ka tumheN zulm kiya hai maiN ne,
Yaad aajayegi tumko meri darguzari bhi,

Dil meiN Ikhlaas nahiN aankh meiN aansu bhi nahiN,
Qabil-e-fahm duaauN ki hai be qarary bhi,

Ye alag baat ke chalte haiN tere saath magar,
Ham nasheeni bhi gawara nahiN hamsagari bhi,

Ham se seekha tha zamaney ne qiyadat ka sabaq,
Aah.. is qaum ki kaisi hai ye darbadari bhi,

NeeNd aati hai mujhe jaltey huwe shahrouN meiN,
Faayedamand hai akCer meri bekhabari bhi.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 570