donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Azeez Belgaumi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Na noor-e-najm hi nay taab-e-mahtaab haiN aap (Saws), *

Na noor-e-najm hi nay taab-e-mahtaab haiN aap (Saws),
Bisaat-e-charakh-e-risaalat ka aftaab haiN aap (Saws),

Jlu meiN aap ke taareekh saath chalati hai,
MaiN kis taraha ye kahuN iska yek baab haiN aap (Saws),

Koi jachaa nahiN tahqeeq-o-justaju ko meri,
“Meri nigah-e-Aqeedat ka intekhaab haiN aap (Saws),

Isi liye to duaa dee sitam shi’aarouN ko,
Khudaa-e-paak ki Rahmat ke faiz yaab haiN aap (Saws),

Khuloos fikr ko, LafzouN ko zindagi bakhshi,
Nigaah-o-nutq ki duniya ka inquilab haiN aap (Saws),

Bahaa ke le gaya un sab ko noor ka dhaaraa,
Jo ye samajhne lage they ke ek hubaab haiN aap (Saws),

Diyaa hai qalb-e-tapaaN ko mataa-e-soz-e-darooN,
AZEEZ mo’ajaza-e-faiz-e-behisaab haiN aap (Saws).

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 447