donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Dr Javed Jamil
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Daaim ho uske husn ki nuzhat, KHuda kare *
Daaim ho uske husn ki nuzhat, KHuda kare
Aur mujh meiN ye junoon ki lazzat, KHuda kare
 
Muddat se koi teer, na KHanjar, na sang o khisht
Duhman mera ho znda salamat KHuda kare
 
Sanjeedgi ka rang ho thoRa sa pyar meiN
Baqi magar ho rang e shararat, KHuda kare
 
Ghamgeen huN, lateefe haiN phir bhi Zabaan par 
Qaim rahe yeh zauq-e zarafat, KHuda karae
 
Poshida haiN gunahoN meiN barbadyoN ke raaz
Nazil ho dil pe harf-e nidamat, KHuda kare
 
MajmE ki kaifiyaat ka manzar Ajeeb
 tha
BaRhta rahe ye zor-e KHitabat, KHuda kare
 
Kahte haiN apni, auroN ki sunte nahiN hain log
Ho jaaye kaash shauq-e samaAt, KHuda,
 kare
 
Kahte haiN ahl-e deen ke taqwa hi deen hai
Woh jaan jaayen kaash iqamat, KHuda kare
 
Karta duA yahi huN shareek-e safar ke saath
Aa jaaye hum ko husn-e nizamat, KHuda kare
 
Har shaKhs kaash seekh le aadaab pyar ke
Dil meN na ho kisi ke kadoorat, KHuda kare
 taKHleeq hai bulandi-e afkaar ki Ataa
aaye tere kalaam meN rifAT, KHuda kare
Javed chheen sakta hai kya uska koi rizq
Jis shaKHs ki hamesha kafalat KHuda kare
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 868