donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fani Badayuni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aath pahr ki yeh be-chaini yeh betaabi kya kahiye *

Aath pahr ki yeh be-chaini yeh betaabi kya kahiye
Had se guzri dil ki kharaabi dil ki kharaabi kya kahiye

Tum kya jaano kya shai hai toofan-e-sarshak-e-konain ki
Tum ne chalakte hi nahi dekhi dil ki gulaabi kya kahiye

Hai woh pehli nazron mein har mauj ka saahil ban jaana
Behr-e-be payaan-e mohabbat ki payaabi kya kahiye

Agle baras ke phoolon ka kya hashr unhen maalum nahi
Kaliyon ka yeh tarz-e-tabassum yeh shadaabi kya kahiye

Hosh jinhen dil ban kar aayan ki tadap ka kya kehna
Gham ne jinhen bedaar kiya unki be-khwaabi kya kahiye

Kitne fitne jama kiye hai in ki ek jawaani ne
Chaal qayamat kafir nazre aankh sharaabi kya kahiye

Khaak-e-vatan hi raas na aayi ghurbat to phir ghurbat hai
‘Fani’ apni khaana-badoshi khaane kharaabi kya kahiye

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 515