donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Krishan Mohan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* wo kya zindagi jis mei.n joshash nahi.n *

wo kya zindagi jis mei.n joshash nahi.n
wo kya aarzu jis mei.n kawish nahin.
junu.n aaina-dar-e-soz-e-darun
junu.n par khushi ki nawazish nahi.n
muqaddar ka marhun-e-minnat hai ye
tera martaba wajh-e-nazish nahi.n
haqiqat ka akkas mera kalam
tasanno nahi.n is mei.n koshish nahi.n
ye izhaar-e-sada hai jazbaat ka
kamal-e-hunr ki numaish nahi.n
zamane se hun be-niyaz is qadar
sataish ki bhi dil mei.n KHwahish nahi.n
ye kya ho gaya tere maktub mei.n
talluq ka rang-e-nigarish nahi.n
use mil sake kaamyabi kaha.n
madad-gar jis ki sifarish nahi.n
wo be-bak aazad-guftar hai
kabhi 'kirshan' mohan ko bandish nahi.n

۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 186