donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Krishan Mohan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kitne dino.n tak raja ke darbar mein ek sadhu aata tha *

Nazm

kitne dino.n tak
raja ke darbar mein ek sadhu aata tha
jo us ko rose ek phal de jata tha
raja be-his be-parwa sa
is phal ko makhzan ke ek kone mein phenk diya karta tha
ek din jab wo sadhu aaya
raja ke bandar ne us se wo phal chhina
aur jo khaya to us mei.n se
ek chamakta hira nikla
raja hairan sadhu ghaeb
raja phir makhzan ke us kone mei.n pahuncha
aur waha.n dekha hiro.n ka Dher laga tha
aur phal ke chhilke bikhre the
kaun tha wo sadhu aur aaj kaha.n ghaeb hai
wo phal kya hai jo har roz mile hum ko lekin hum us ka
antar dekh na pae.n us ki qadr na jaane.n
zahir ke sadhaaran rup mei.n andar ka chamkila hira
jis ne bhi pahchana apne aap ko jaana
bahar se mamuli lagne wale phal ko phenk diya to
us ke andar ka hira ojhal hi rahega

*****************

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 159