donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Krishan Mohan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* mera zehn banta chala ja raha hai khayalat-e-fasid ki daldal *

mera zehn banta chala ja raha hai khayalat-e-fasid ki daldal
ki mahsus hone laga hai
meri zindagi mei.n rahegi hamesha hawas kar-farma
ho sarma ki garma
kabhi pyas bujhti nahi.n hai
piyu.n jitni mai
fusun-e-mulaqat hai bais-e-be-qarari
junun-e-mulaqat rahta hai tari
ki aksar mulaqat hoti hai lekin mulaqat ko ji tarasta hai paiham
kai bar is kaifiyat par hansa huu.n
hai ye kaisi daldal ki jis mei.n phansa huu.n
ubharta huu.n mai.n is ki gahrai se bhi
magar jaise phir Dub jaane ki khatir
ghazab hai hawas ka ye kas-bal
mera zehn banta chala ja raha hai khayalat-e-fasid ki daldal

*****************

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 156