mai.n to huu.n shaer ki ruh
shaer ki khasiyyat
ek khushbu ek tilism
aur mera beTa ki hai shaer ka jism
shairo.n ki khaslato.n ka aaina
kaj-rawi ka ishtihaar
hai sameTe apne andar aib ki har ek qism
na-samajh aawara-o-bekar shaida-e-qimar
aashnao.n ka musahib kam-ayar
harza-go baada-gusar
kash mai.n hota sharabi aur kababi aur wo nek-o-shiar
ba-safa be-aib sa meri tarah
log phir mujh ko samajhte shaer-e-rangin-khayal-o-ba-kamal
aur mera beTa bhi hota khush-khisal
dil na hota pur-malal
****************