qafiyo.n se koi chhuTkara dilae
ban gai taklif-e-jaan mujh ko radif
bahr hai har waqt dil mein maujzan
qafiye ki aazmaish se guzar
qafiya-paima na ban
qafiye ne aa dabocha qafiya-paima na ho
khurdure-pan ko tarasti hai zaban
kyun manjhi hain is qadar nazme.n meri
kyu.n saji hai is qadar meri ghazal
qafiye ko rok phir aane laga
zehn hai majnun-e-adab-e-sukhan
dil purane ras ka rasiya hai abhi
nikhat-e-mazi ka basiya hai abhi
qafiya phir aa gaya majbur huu.n
qafiye ko rok phir aane laga
sochta hun bahr ki maujo.n mein jakDa huu.n abhi
qafiya to khair kafi ruk gaya
bahr to TuTi nahin
bahr ek bahr-e-basit
bahr ek dew-e-tanomand-o-muhit
is qadar jiddat se kyun hai kad mujhe
zehn o dil hain kyu.n riwayat ke asir
*********************