saDak be-dhaDak ham-safar hai
chali ja rahi hai ki bas manzil-e-shauq hadd-e-nazar hai
kai ham-safar rah gae raste mei.n
magar ye rawa.n hai hamesha
shajar shahr naddi musafir
har ek se use pyar sa hai
milan ki kai hasrate.n apne andar sameTe
kaDe faslo.n ki masafat lapeTe
yu.nhi leTe leTe
chali ja rahi hai
sujhati hui ham-safar ko
jaha.n bhi to ek rahguzar hai
saDak be-dhaDak ham-safar hai
*********************