donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Krishan Mohan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* hum to ab jati rute.n hai.n hum se ye ighmaz kyun. *

hum to ab jati rute.n hai.n hum se ye ighmaz kyun.
jurm kya hum ne kiya hai aap hai.n naraaz kyu.n
mal-o-zar se bahra-e-wafir na dena tha agar
ai khuda tu ne diya mujh ko dil-e-fayyaz kyu.n
rishta-e-zar rishta-e-khuu.n se hai baDh kar mo'tabar
warna chahat ke liye qarza bane miqraaz kyun
khesh-bini jab ki is ka kesh-e-kam-andesh tha
dosti ka pas karta banda-e-aghraaz kyu.n
kya nai tahzib hai takzib-e-aqdar-e-salim
shahr mei.n phaile hue hai.n jins ke amraaz kyu.n
lutf-andoz-e-riyaz-e-dahr kyu.n hote nahin.
dawara kam-zarf hote hai.n tere martaz kyu.n
kuchh haqaeq ko agar mai.n ne kiya hai be-naqab
ho gae naraaz mujh se sher ke nabbaz kyu.n
puchhte hai.n de ke mujh ko dost-dari ka fareb
'kirshan'-mohan dosto.n se is qadar e'raaz kyu.n

۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 174