junu.n irfan ban kar rah gaya hai
ye kufr iman ban kar rah gaya hai
ye coffy-ghar meri shamo.n ka mehwar
meri pahchan ban kar rah gaya hai
farishta jis ko banna tha wo insan
faqat haiwan ban kar rah gaya hai
wo tha ek nukta-dan khush-fikr shaer
magar nadan ban kar rah gaya hai
sukhan mera teri bazm-e-tarab mei.n
surili taan ban kar rah gaya hai
ye kaisi mahwiyat hai mera hona
tera paimaan ban kar rah gaya hai
hue na-paid ehsas-o-takhayyul
adab be-jaan ban kar rah gaya hai
jadidiyat mei.n be-chaara sukhnawar
khirad ki shaan ban kar rah gaya hai
dabistan-e-sukhan ab 'krishan' mohan
shauristan ban kar rah gaya hai
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸