makan andar se khasta ho gaya hai
aur is mein ek rasta ho gaya hai
unhe.n manzoor karna hi paDega
ariza dast-basta ho gaya hai
siyasi rahnumao.n ki badaulat
hamara khuun sasta ho gaya hai
kaman-e-jism hai maujuud lekin
shabab ek tir-e-jasta ho gaya hai
zubuu.n hai is qadar duniya ki haalat
hamara gham bhi khasta ho gaya hai
shikasta aur paspa 'kirshan' mohan
hamara fauji dasta ho gaya hai
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸