donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Krishan Mohan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* nala-e-subh ke baghair giriya-e-shaam ke baghair *

nala-e-subh ke baghair giriya-e-shaam ke baghair
hota nahi.n visal-e-yar soz-e-dawam ke baghair
tu ne agar kiya na yaad shaq rahega na-murad
kaise kaTegi zindagi tere payam ke baghair
hai ye mera hi hausla karta hun roz samna
gardish-e-subh-o-sham ka gardish-e-jam ke baghair
arsa hua wo fitnagar aaya nahi.n kabhi idhar
suni paDi hai rah-guzar husn-e-khiraam ke baghair
kaif-e-nashat dam-ba-dam chumta hai mere qadam
chalta nahi.n hoo.n ek qadam aap ke nam ke baghair
jab bhi mile wo na-gahan jhum uThe hain qalb o jaan
milne mei.n lutf hai agar milna ho kaam ke baghair
mere junu.n ke faiz se garmi-e-shauq aa gai
sard thi mahfil-e-tarab mere kalam ke baghair

۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 160