donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Manzar Bhopali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Badalate vaqt kaa ik silsilaa saa lagataa hai *
Badalate vaqt kaa ik silsilaa saa lagataa hai
ke jab bhii dekho use duusaraa-saa lagataa hai

tumhaaraa husn kisii aadamii kaa husn nahii’n
kisii buzurg kii sachchii duaa saa lagataa hai

terii nigaah ko tamiiz rang-o-nuur kahaan
mujhe to Khuun bhii rang-e-hinaa saa lagataa hai

damaaG-o-dil ho’n agar mutmaiin to chhaao’n hai dhuup
thapeDaa luu kaa bhii ThanDii havaa saa lagataa hai

vo chhat pe aa gayaa betaab ho ke aakhir
Khudaa bhii aaj shariik-e-duaa saa lagataa hai

tumhaaraa haath jo aayaa hai haath men mere
ab aitabaar kaa mausam haraa-saa lagataa hai

nikal ke dekho kabhii nafarato’n ke pinjare se
tamaam shahar kaa "Manzar" khulaa saa lagataa hai
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 410