donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Manzar Bhopali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ek nayaa morh dete hue phir fasaana badal dijiye *
Ek nayaa morh dete hue phir fasaana badal dijiye
yaa to khud hi badal jaaiye ya zamaana badal dijiye

tar nivaale khushaamad ke jo khaa rahe haiN vo mat khaaiye
aap Shaheen ban jaayenge aab-o-daana badal dijiye

ahl-e-himmat ne har daur meN koh kaaTe haiN taqdiir ke
har taraf raaste band haiN, ye bahaana badal dijiye

tai kiyaa hai jo taqdiir ne har jagah saamne aayega
kitnii hii hijrateN kiijiye ya Thikaana badal dijiye

hamko paala thaa jis peD ne uske patte hii dushman hue
kah rahii haiN DaaliyaaN, aashiyaana badal dijiye
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 347