donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Manzar Bhopali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Such kahoon mujh ko ye unwan bura lagta hay *
Such kahoon mujh ko ye unwan bura lagta hay
Zul'm sehta hua insan bura lagta hai
Kis qadar ho gaii masroof ye dunya apni
Ek din thehray to mehman bura lagta hay
Un ki khidmat to bohat door, bahoo baiton ko
Budhay maan baap ka farman bura lagta hay
Mairay Allah mairi naslon ko zillat say nikal
Haath paihlaye musalman bura lagta hay
Guzar chuka hay zamana wo inkisari ka
Kay ab mizaj bana lijiye shikari ka
Hum ehtaram e muhabbat main sar jhukatay hain
Ghalat nikal na mafhoom khak'shari ka
Wo badshah bana baitha hay muqaddar say
Magar mizaj hay ab tak wohi bhikari ka
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 605