donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Manzar Bhopali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* zabaan-e-hind hai urdoo to maathe kii shikan kyooN hai *

zabaan-e-hind hai urdoo to maathe kii shikan kyooN hai
watan meN be-watan kyooN hai

merii mazloom urdoo terii saaNsoN meN ghuTan kyooN hai
teraa lehjaa mahakataa hai to lafzoN meN thakan kyooN hai
agar tuu phool hai to phool meN itanii chubhan kyooN hai
watan meN be-watan kyooN hai

ye naanak kii ye Khusro kii dayaa shankar kii bolii hai
ye diiwaalii ye baisaakhii ye iid-ul-fitr holii hai
magar ye dil kii dhaRakan aaj kal dil kii jalan kyooN hai
watan meN be-watan kyooN hai

ye naazoN se palii thii meer ke Gaalib ke aaNgan meN
jo sooraj ban ke chamakii thii kabhii mahaloN ke daaman meN
wo shah_zaadii zabaanoN kii yahaaN be_anjuman kyooN hai
watan meN be-watan kyooN hai

muhabbat kaa sabhii elaan kar jaate haiN mehfil meN
ke is ke waaste jazbaa hai ham_dardii kaa har dil meN
magar haq maaNgane ke waqt ye begaanaapan kyooN hai
watan meN be-watan kyooN hai

ye dosheezaa jo baazaaroN se iThalaatii guzaratii thii
laboN kii naazukii jis kii gulaaboN sii bikharatii thii
jo tahazeeboN kii sar kii oRhanii thii ab kafan kyooN hai
watan meN be-watan kyooN hai

muhabbat kaa agar daawaa hai to is ko bachaao tum
jo waadaa kal kiyaa thaa aaj wo waadaa nibhaao tum
agar tum raam ho to phir ye raawan kaa chalan kyooN hai
watan meN be-watan kyooN ha

Manzar Bhopali.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 654