donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Manzar Bhopali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hamaare dil pe jo zaKhmoN kaa baab likhaa hai, *
Hamaare dil pe jo zaKhmoN kaa baab likhaa hai,
usii meN vaqt kaa saaraa hisaab likhaa hai,
(baab : chapter)
kuch aur kaam to ham se na ho sakaa lekin,
tumhaare hijr kaa ek ek azaab likhaa hai,
(hijr : separation; azaab : punishment)
suluuk nishtaroN jaisaa na keejiye ham se,
hameshaa aap ko ham ne gulaab likhaa hai,
(nishtar : dagger)
tere vajuud ko mahsuus umr bhar hogaa,
tere laboN pe jo ham ne javaab likhaa hai,
(vajuud : existence)
hu’aa fasaad to us meN nahiiN kisii kaa qusuur,
havaa-e-shah’r ne mausam Kharaab likhaa hai,
agar yaqiiN nahiiN to uThaaiye taariiKh,
hamaaraa naam basad aab-o-taab likhaa hai.
(basad : with; aab-o-taab : splendour)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 336