tira khayaal sataaye har aik baar mujhe
akele jeene ka de hauslaa, shi'aar mujhe
bacha sakega kahaN tak koi hisaar mujhe
karegi meri ana aaj ... sharm-saar mujhe
bas itna yaad hai ... tum se nazar milaayi thi
na aane dega kabhi hosh yeh khumaar mujhe
salaam e ishq samajhtaa rahaa dil e muztar
sata rahe the woh karne ko beqaraar mujhe
sitam pa karke sitamgar sitam gaye ho tum
tha muddatoN se tumhaara hi intizaar mujhe
gaya jo DhooNDne aasaaisheN zamaane meiN
musibateN hi miliN karne ... bas ... figaar mujhe
yahi to baat ... ghazab hai ... ... mire sitamgar ki
haseen khwaab dikhaakar kare shikaar mujhe
har ik yahaN pa giraftaar e khud shanaasi hai
madad ki lagti hai bekaar ab pukaar mujhe
salaamti ki de ... ... ... taabeer ... jo sadaa ... ... Farhat!
woh aake karta hai khwaaboN meiN ashkbaar mujhe -
Mohammed Farhathullah Khan 'Farhat'