donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mohammed Farhathullah Khan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* khauf e duniya ke ... jo anjaam se jal jaate haiN *

khauf e duniya ke ... jo anjaam se jal jaate haiN
ishq meiN hoke woh naakaam se jal jaate haiN

sirf reh jaata hai ... ik zikr e muhabbat ... baaqi
raat meiN sham'a ke jo naam se jal jaate haiN

door-andesh bhi rehna hai zaroori leikin
log bekaar ke ... ibhaam se jal jaate haiN

jab se maaloom hua ... ... ... raat ko tu aayegaa
meri aaNkhoN ke diye shaam se jal jaate haiN

muskuraahaT ka faqat aana laboN par Farhat!
dil shikan log yeh paighaam se jal jaate haiN

Mohammed Farhathullah Khan
Jeddah, KSA


۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 762