donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mohammed Farhathullah Khan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ik tumhaari ... kya inaayat ho gayi *

Ik tumhaari ... kya inaayat ho gayi
duniya ko ham se adaavat ho gayi

khush the pehli azaaN sun kar bahut
thoDa saNbhle ke iqaamat ho gayi

aagayi manzil simaT kar saamne
soch meiN jab istiqaamat ho gayi

ho gayi pyaari khuda ko jab se maa
taazgi is ghar se champat ho gayi

kaun karta hai barbaadi ka gham
kitni arzaaN dil ki qeemat ho gayi

Hausle ... shaora ko ab dete nahiN
kis qadar pheeki nizaamat ho gayi

karbala sab ke diloN meiN bas gayi
jo ... sar e neza ... tilaawat ho gayi

ThokareN Farhat! Jo apnoN se miliN
zindagi-bhar ... ki naseehat ho gayi


- Mohammed Farhathullah Khan 'Farhat' 
Jeddah, Saudi Arabia

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 433