donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mohammed Farhathullah Khan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* dastaar nahiN sar pa to talwaar kahiN aur *

dastaar nahiN sar pa to talwaar kahiN aur
ab gooNjta hai na'ra e yalghaar kahiN aur

karna hai ... jinheN pyaar ka izhaar kahiN aur
kyuN jaate nahiN dil ke ye beemaar kahiN aur

tum ... ... jaao liye apna ye baazaar kahiN aur
hum ko to dikhaana hai yeh kirdaar kahiN aur

saude se usooloN ke ye ghurbat hi bhali hai
ho sakta hai sikke hoN khareedaar kahiN aur

hotoN pa hasi aur ... aaNkhoN me haiN aaNsu
rakhte haiN gulaaboN ko kahiN khaar kahiN aur

hotoN pa hasi aur rakhe ... aaNkh me aaNsu
mushkil se siwa milte haiN fankaar kahiN aur

hum jabr nahiN karte sikhaate haiN muhabbat
mushkil se mile duniyaa me kirdaar kahiN aur

khaake jo yateemoN ka tan-o-mand bane hai
qudrat ki inheN paDni hai ab maar kahiN aur

khaate haiN yateemoN ka jo apna hi samjhkar
ghaib ki ... paDegi yeh unheN maar kahiN aur

rangeen hai mehfil bhi sajee aaj diloN ki
dil apna liye jaana hai bezaar kahiN aur

taareek hue jaataa hai ... farsooda mira dil
ab chhoDke aana hai ye aazaar kahiN aur

farsooda hue jaate haiN taareek yahaN dil
lagti hai sitaaroN ki bhi bharmaar kahiN aur

wo kaise bikega jo jhuka tak nahiN Farhat!
tum ... jaao liye sone ka anbaar kahiN aur

 
 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 1380