begana-e-wafa tera shewa hi aur hai
ahl-e-wafa ka taur-tariqa hi aur hai
dair o haram ki rah mei.n rakhte nahi.n qadam
hum rah-rawan-e-shauq ka rasta hi aur hai
dil bewafa ke hath na bechega ba-wafa
tum se nahi.n banega ye sauda hi aur hai
allah dil na tum ko taDapta hua dikhae
dekha na jaega ye tamasha hi aur hai
jalwa-farosh aap hai.n mai.n dil-farosh hu.n
aiso.n se kya banega ye sauda hi aur hai
TukDe hain dil jigar ke 'mubarak' ki sher hai.n
ghazlo.n ka aap ki to safina hi aur hai
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸